Thursday, June 25, 2009

Majaz ki shayyiri

seene mein unnke jalwe chhupaye huye toh hain
hum apne dil ko tuur banaye huye toh hain
tasir-e-jazbe shauq dikhaye huye toh hain
hum tera har hizaab uthaye huye toh hai
haan kya hua vo hausle-deed-ahl-e-dil
dekho na vo naqaab uthaaye huye toh hai
tere gunahgaar gunahgaar hi sahi
tere karam ki aas lagaye huye toh hai
allah'ari kaamiyabi-e- awar'gane ishq
khud gum huye toh kya usse paaye huye toh hai
yun tujhko akhtiyaar hai taasir de na de
daste dua hum aaj uthaye huye toh hai
zikr unnka gar jaban pe nahin hai toh kya hua
ab tak nafs nafs pe samaye huye toh hai
mitate huo'n ko dekh ke kyun ro na den 'majaz'
aakhir kisi ke hum bhi mitaye huye toh hai

No comments:

Post a Comment

wel come