Monday, June 15, 2009

Majaz ki shayyiri


husn phir fitnagar hai kya kahiye
dil ki jaanib nazar hai kya kahiye
phir vahi rahguzar hai kya kahiye
zindgi raahbar hai kya kahiye
husn khud pardadaar hai kya kahiye
ye hamarii nazar hai kya kahiye
aah to be-asar thi barson se
nagma bhi be-asar hai kya kahiye
husn hai ab na husn ke jalwe
ab nazar hi nazar hai kya kahiye
aaj bhi hai 'majaz' khaak_nashin
aur nazar arsh par hai kya kahiye

No comments:

Post a Comment

wel come