Thursday, June 25, 2009

Majaz ki shayyiri

saazgar hai humdam inn dinon jahan apna
ishq shaadma'an apna shauq kaamra'an[joyful] apna
aahen be_asar kiski naalah-e-naarva kiska
kaam barha aaya jazba-e-niha'an apna
kab kiya tha iss dil par husn ne karam itna
meharbaan aur iss darze kab tha aasman apna
uljhanon se ghabraye mai_kade mein dar aaye
kis qadar tan aasan hai zauq-e-raayega'an apna
kuch na puch ae humdam inn dinon mera aalam
mutribe hasin apna saaqiye jawan apna
ishq aur ruswai kaun si nayi shai hai
ishq toh azal[hamesha] se tha ruswa-e-jahan apna
tum majaz diwane mashalaat se begaane
varna hum bana lete tumko razdaan apna

No comments:

Post a Comment

wel come