Thursday, June 25, 2009

Majaz ki shayyiri

veh naqaab aap se uth jaaye toh kuch door nahin
varna meri nigah shauq bhi majboor nahin
khatir-e-ahl-e-nazar husn ko manzoor nahin
iss mein kuch teri khata deed-e-mehzoor nahin
laakh chhipte ho magar chhip ke bhi mastoor[gupt] nahin
tum azab cheez ho nazdeek nahin duur nahin
zaraait-e-arz par veh kuch nahin kehte lekin
har ada se yeh tapkta hai ki manzoor nahi
dil dhadak uthta hai khud apni hi har aahat par
ab qadam manzile jana se bohat duur nahin
haaye veh waqt ki jab be_piiye madhoshi thi
haaye yeh waqt ki ab pii ke bhi makhmuur nahin
husn hi husn hai jis simt uthata hun nazar
ab kahan tuur nahin, barq-e-sar-e-tuur nahin
dekh sakta hun jo aankhon se veh kaafi hai 'majaz'
ahl-e-irfaan ki nawazish mujhe manzoor nahin

No comments:

Post a Comment

wel come