Thursday, June 25, 2009

Majaz ki shayyiri

rahe shauq se ab hata chahta hun
kashish husn ki dekhna chahta hun
koi dil sa dard ashna chahta hun
rahe ishq mein rehnuma chahta hun
tumhi se tujhe chhin'na chahta hun
ye kya chahta hun, ye kya chahta hun
khataon pe jo mujho ma'eel kare phir
saza aur aisi saza chahta hun
vo makhmoor nazaren, vo mad'hosh aankhen
kharabe muhbbat hua chahta hun
vo aankhen jhuki, vo koi muskuraya
payam-e-muhbbat suna chahta hun
tujhe dhoondhta hun teri justju hai
maza hai ki khud guum hua chahta hun
ye mauzon ki betaabian kaun dekhe
main saahil se ab lautna chahta hun
kahan ka karam aur kaisi inayat
'majaz' ab jaffa hi jaffa chahta hun

No comments:

Post a Comment

wel come