Monday, June 15, 2009

Majaz ki shayyiri

husn ko be-hijaab hona tha
shauq ko kaamyab hona tha
hizr mein kaif-e-iztarab na puchh
khuun-e-dil bhi sharab hona tha
tere jalvon mein ghir gaya aakhir
zarre ko aftaab hona tha
kuchh tumhari nigah kaafir thi
kuch mujhe bhi kharab hona tha
raat taaron ka tuutna bhi 'majaz'
baa_is-e-iztaraab hona tha

No comments:

Post a Comment

wel come