Thursday, June 25, 2009

Majaz ki shayyiri

apne dil ko donon aalam se utha sakta hun main
kya samjhti ho ki tumko bhi bhuula sakta hun main
kaun tumse chheen sakta hai mujhe, kya veham hai
khud zulekha se bhi toh daaman bacha sakta hun main
dil mein tum paida karo pehle meri si jaraa'aten[himat]
aur phir dekho ki tumko kya bana sakta hun main
dafn kar sakta hun seene mein tumhare raaz ko
aur tum chaho toh afsana bana sakta hun main
main qasam khata hun apne tataq ke ejaaz ki
tumko bazme maaho anzuum mein baitha sakta hun main
sar pe rakh sakta hun taaze kishvare nuraaniyan
mehfile khursheed ko neecha dikha sakta hun main
main bohat sarkash hun lekin ik tumhare vaaste
dil biichha sakta hun main, aankhen bichha sakta hun main
tum agar ruutho toh ik tumko manane ke liye
geet ga sakta hun main, aansu baha sakta hun main
jazb hai dil mein mere dono jahan ka sozo saaz
barbate fitrat ka har nagma suna sakta hun main
tum samjhti ho ki hain pardfe bohat se darmiyan
main yeh kehta hun ki har parda utha sakta hun main
tum ki ban sakti ho har mehfil mein firdos-e-nazar
mujhko yeh daava ki har mehfil pe chha sakta hun main
aao milkar inqilabe taaza paida karen
dehar par iss tarah chha jaayen ki sab dekha karen

No comments:

Post a Comment

wel come