Thursday, June 25, 2009

Majaz ki shayyiri

dekhna jazbe muhbbat ka asar aaj ki raat
mere shaane pe hai uss shokh ka sar aaj ki raat
aur kya chahiye ab ae dile mahruuh tujhe
ussne dekha toh ba_andaaz digar aaj ki raat
phool kya khaar bhi hai aaj gulistan ba_kinar
sangreze hain nigahon mein guhar aaj ki raat
mehve gul_gasht hain ye kaun mere dosh ba_dosh
kehkashan ban gayi har rehguzar aaj ki raat
phuut nikla daro-diwar se sailaabe nishaat
alaa allah mere kaife nazar aaj ki raat
shabn'mistaane tazl'li ka fan'su kya kahiye
chand ne phenk diya rakhte safar aaj ki raat
noor hi noor hai kis simt uthaaun aankhen
husn hi husn hai toh hadhe nazar aaj ki raat
kasre geti mein umadh aaya hai tufaane hayaat
maut larzaan pase parde dar aaj ki raat
alaa allah vo peshniye simi'n ka zamaal
reh gayi zam ke sitaron ki nazar aaj ki raat
aarize garm pe vo range shafak ki keharen
vo meri shokh nigahon ka asar aaj ki raat
nargishe naaz mein vo neend ka halka sa khumaar
vo mere nagme shirin ka asar aaj ki raat
nagmo mai ka yeh tufaane tarab kya kahiye
ghar mera ban gaya khayyam ka ghar kya kahiye
meri har saans pe veh unnki tavj'jah kya khoob
meri baat pe veh jumbishe sar aaj ki raat
veh tabssum hi tabssum ka zamaale paiham
veh muhbbat hi muhbbat ki nazar aaj ki raat
uff veh vaarfatge shauq mein ik vehame lateef
kapkapate huye honton pe nazar aaj ki raat
apni rifaayat pe jo naaza hain toh naaza hi rahen
keh do anzuum se ke dekhen na idhar aaj ki raat
unnke altaaf ka itna hi fasoon kaafi hai
kam hai pehle se bohat dard-e-jigar aaj ki raat

No comments:

Post a Comment

wel come