Monday, June 15, 2009

Majaz ki shayyiri

kuch tujhko khabar hai ham kya kya ae shorish-e-dauran bhuul gaye
vo zulf-e-pareshan bhuul gaye vo diida-e-giriya bhuul gaye
ae shauq-e-nazara kya kahiye nazaron mein koi suurat hi nahin
ae zauq-e-tasavvur kya kahiye ham suuat-e-jaanan bhuul gaye
ab gul se nazar milti hi nahin ab dil ki kali khilti hi nahin
ae fasl-e-baharan rukhsat ho ham lutf-e-baharan bhuul gaye
sab ko toh madava kar daala apna hi madava kar na sake
sab ke gireban sii daale apna hi gireban bhuul gaye
ye apni vaffa ka aalaam hai ab unnki jaffa ko kya kahiye
ek nashtar-e-zahar-e-aagahi rakh kar nazdiik-e-rag-e-jaan bhuul gaye

No comments:

Post a Comment

wel come