Monday, June 15, 2009

Majaz ki shayyiri

rah-e-shauq se ab hataa chahta hun
koshish husn ki dekhna chahta hun
koi dil-sa dard aashna chahta hun
rah-e-ishq mein rah_numa chahta hun
tujhi se tujhe chheen'na chahta hun
ye kya chahta hun ye kya chahta hun
khataaon pe jo mujhko maayil kare phir
saza aur aisi saza chahta hun
vo makhmuur nazaren vo madhosh aankhen
kharab-e-muhbbat hua chahta hun
vo aankhen jhuki vo koi muskuraya
payam-e-muhbbat suna chahta hun
tujhe dhuundhta hun teri justju hai
maza hai Khud gum hua chahta hun
kahan ka karam aur kaisi inaayat
'majaz' ab jaffa hi jaffa chahta hun

No comments:

Post a Comment

wel come