Monday, June 15, 2009

majrooh sultanpuri ki shayyiri

hamko junuun kya sikhlate ho ham thay pareshan tumse ziyada
chaak kiye hain hamne aziizon chaar garebaan tumse ziyada
chaak-e-jigar muhataz-e-rafu hai aaj toh daman sirf lahu hai
ek mausam tha hamko raha hai shauq-e-baharan tumse ziyada
jaao tum apni baam ki Khatir saari laven shamon ki katar lo
zakhmon ke mahar-o-maah salamat jashn-e-chiraagaan tumse ziyada
ham bhi hamesha qatl huye aur tum ne bhi dekha duur se lekin
ye na samajhe hamko hua hai jaan ka nukasaan tumse ziyada
zanjiir-o-divaar hi dekhi tumae toh "majrooh" magar ham
kucha-kucha dekh rahe hain aalam-e-zindaan tumse ziyada

No comments:

Post a Comment

wel come