Monday, June 15, 2009

makhdoom moinuddin ki shayyiri

raad[thunder] hun barq[lightning] hun bechaiin hun para[mercury] hun main
khud-parastar[self-respecting], khud-agah[self-knowing], khud-aara[saw] hun main
gardan-e-zulm kate jis se vo aaraa hun main
khirman[field]-e-jaur[oppression] jalade vah sharara[spark] hun main
meri fariyad par ahal-e-davil[rich people] angusht bagosh[fingers in their ears]
laa tabar[axe] khuun ke dariya mein nahane de mujhe
sare pur nakhuvat-e-arbaab-e-zamaan toh.dunga
shor-e-naala se dar-e-araz-o-saman todunga
zulm paravar ravish-e-ahal-e-jahan todunga
isharat[pleasure] aabad amarat ka makan todunga
tod daalunga main zanjiire asiiraan[prisoner]-e-qafas[cage]
dahar ko panj-e-asarat se chhudane de mujhe
barq ban kar buut-e-maazii ko girane de mujhe
rasm-e-kuhana ko teh-e-khaak milane de mujhe
tafriqe mazahab-o-millat ke mitaane de mujhe
khwab-e-farda ko bas ab haal banane de mujhe
aag hun aag hun haan! dahakati hui aag
aag hun aag bas ab aag lagaane de mujhe

No comments:

Post a Comment

wel come