Monday, June 15, 2009

makhdoom moinuddin ki shayyiri

raat bhar deeda-e-gam-naak mein leharate rahe
saans ki tarah se aap aate rahe, jaate rahe
khush thay ham apni tamnnaon ka khwab aayega
apna armaan bar-afganda[beparda] naqaab aayega
nazaren neechi kiye sharmaye huye aayega
kaakulen chehre pe bikharaye huye aayega
aa gayi thi dil-e-muztar mein shakebaai si
baj rahi thi mere gam-khane mein shahanaai si
shab ke jaage huye taaron ko bhi neend aane lagi
aap ke aane ki ik aas thi ab jaane lagi
subah ne sej se uthate huye li angadaaii
o saba tu bhi jo aayi toh akele aayi
mere mehbuub meri neend udane wale
mere masajuud meri ruuh pe chhane wale
aa bhi ja taake mere sajadon ka aramaan nikle
aa bhi ja ke tere qadamon pe meri jaan nikle

No comments:

Post a Comment

wel come