Saturday, June 13, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

ulti ho gayi sab tadbeerein kuch na dawa ne kaam kiya
dekha iss bimar-e-dil ne aakhir kaam tamam
ehad jawani roa roa kaati, peer mein le aankhen muu'nd
yaani raat bohat thay jaage, subah hui aaram
naahak hum majbuuron par yeh tohmat hai mukhtaari
chahte hain so aap kare hain, humko bas badnaam
yaa ke safed-o-siyah mein humko dakhal jo hai so itna
raat ko roa-roa subah kiya, ya din ko jyun-tyun sham
'meer' ke deen-o-majhab ko ab puchhte kya ho unn ne
kashka kheencha, dair mein baitha, kab ka tark islaam

No comments:

Post a Comment

wel come