Friday, June 12, 2009

mohsin ki shayyiri

talab ko ajar na dun, fikar-e-rahguzar na karun !
safar mein ab ke hawa ko bhi hamsafar na karun
ubharte duubte suraj se tod lun rishta
main sham odh ke soa jaaon aur sahar na karun
ab iss se badh ke bhala kya ho ehtiyat-e-waffa
main tere shehr se guzron, tujhe khabar na karun !
ye mere dard ki daulat, meri maata-e-firaaq
inn ansuon ki wazahat mein umar bhar na karun !
ujad shab ki khalish ban ke ban mein kho jaoon
main chandni ki terha khud ko darbadar na karun !
vo ek pal ko dikhai toh de kahin 'mohsin'
main jaan ganwa ke bhi uss pal ko mukhtasar na karun !

No comments:

Post a Comment

wel come