Friday, June 12, 2009

noshi gilani ki shayyiri

mujhko ruswa sare mehfil toh na karwaya kare
kaash aansu meri aankhon mein hi reh jaaya kare
ae hawa maine toh bas usska pata pucha tha
ab kahani toh na har baat ki ban jaaya kare
bas bohat dekh liye khwab suhane din ke
ab vo baaton ki rifaqat se na behlaaya kare
ik museebaat toh nahi tooti hai so iss dil par
jis qayamaat ne guzarna hai guzar jaaya kare
dil ne ab soch liya hai ke yeh zaalim duniya
jo bhi karna hai kare mujhko na uljhaya kare
jiske khwabon ko main aankhon mein saja kar rakhun
usski khusbhu kabhi mujhko bhi toh mehkaya kare

No comments:

Post a Comment

wel come