Friday, June 12, 2009

obaidulla aleem ki shayyiri

kuch ishq tha kuch majboori thi, so main ne jiwan vaar diya
main kaisaazinda aadmi tha, ik shaks ne mujko maar diya
ye sajaa sajaya ghar saaqi, meri zaat nahin mera haal nahin
ae kaash kabhi tum jaan sako, jo uss sakh ne aazar diya
main Khuli hui ik sachchai, mujhe jaan-ne vaale jaante hain
maine kin logon se nafrat ki, aur kin logon se pyar kiya
vo ishq bahut mushkil tha magar, aasan na tha yun jina bhi
uss ishq ne zinda rahne ka, mujhe zarf diya pindar diya
ik sabz shakh gulab ki thi, ik duniya apane pyar ki thi
vo ek bahar jo aayi nahin, usske liye sab kuch haar diya
main rota hun aur aasman se, taare tuut'te dekhta hun
unn logon par jin logon ne, mere logon ko aazar diya
vo yaar hun ya mehboob mere, ya kabhi kabhi milne wale
ik lazzat sab ke milne main, vo zakhm diya ya pyar diya

No comments:

Post a Comment

wel come