Friday, June 12, 2009

obaidulla aleem ki shayyiri

khayyal-o-khwab huye hain muhbbaten kaisi
lahu mein naach rahen hain ye vehashaten kaisi
na shab ko chand hai achchha na din ko mehar achchha
ye ham pe beet rahi hain qayamaten kaisi
azaab jin ka tabssum sawaab jinki nigaah
khinchi hui hain pas-e-jaanaan suuraten kaisi
hawa ke dosh pe rakkhe huye charag hain ham
jo bujh gaye toh hawa se shikayaten kaisi
jo bekhabar koi guzara toh sada ye dii hai
main sang-e-raah hun mujh par inayaten kaisi
jo aa rahe so vo bhi ab sang-o-khisht lataahai
faza ye ho toh dilon ki nazakatein kaisi

No comments:

Post a Comment

wel come