Friday, June 12, 2009

obaidulla aleem ki shayyiri

bana gulab toh kante chubha gaya ik shaks
hua chirag toh ghar hi jala gaya ik shaks
tamam rang mere aur sare khwab mere
fasana keh ke fasana bana gaya ik shaks
main kis hawa mein uddun kis faza main lahraun
dukhon ke jal har-su bicha gaya ik shaks
palat sakun main na aage badh sakun jis par
mujhe ye kaun se raste laga gaya ik shaks
muhbbaten bhi ajeeb usski nafratein bhi kamal
meri tarah ka hi mujh main sama gaya ik shaks
vo mahtab tha marham-ba-dast aaya tha
magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shaks
khula ye raz ke aaiina-khana hai duniya
aur iss main mujhko tamasha bana gaya ik shaks

No comments:

Post a Comment

wel come