Thursday, June 25, 2009

qateel shifai ki shayyiri

tum puucho aur main na bataun aise toh haalat nahin
ek zara sa dil tuuta hai aur toh koi baat nahin
kisko khabar thi sanwale baadal bin barse udd jaate hain
sawan aaya lekin apni qismat mein barsaat nahin
mana jiwan mein aurat ek baar muhbbat karti hai
lekin mujhko ye toh bata de kya tu aurat zaat nahin
khatm hua mera afsana ab ye aansu ponch bhi lo
jis mein koi taara chamke aaj ki raat vo raat nahin
mere gham-giin hone par ehbaab hain yun hairaan 'qateel'
jaise main patthar hun mere seene mein zajbaat nahin

No comments:

Post a Comment

wel come