Friday, June 12, 2009

rahat indori ki shayyiri

masjidon ke sehan tak jaana bahut dushvaar tha
der se nikla toh mere raaste mein daar tha
apne hi phalon ke nashe men khoya tha darakht
aur har masoom tahani par phalon ka baar tha
dekhte hi dekhte sheharon ki raunaq ban gaya
kal yahi chehara tha jo har aaiine pe baar tha
sab ke dukh sukh usske chehre pe likhe paaye gaye
aadami kya tha hamare shehr ka akhbar tha
ab mohalle bhar ke darwazon pe dastak hai naseeb
ek zamana tha ke jab main bhi bahut Khuddar tha
kaghazon ki sab siyaahi baarishon mein dhul gayi
ha ne jo socha tere baare mein sab bekaar tha

No comments:

Post a Comment

wel come