Friday, June 12, 2009

rahat indori ki shayyiri

chehron ki dhoop aankhon ki geharayi le gayaa
aaiina saare shehr ki beenaai le gaya
doobe huye jahaaz pe kya tabsara karein
ye hadasa toh soch ki gaharayi le gaya
haalaanki be-zuban tha lekin ajeeb tha
jo shaks mujhse chheen ke goyai le gaya
iss waqt toh main ghar se nikalne na paaonga
bas ek kameez thi jo mera bhai le gaya
jhoote qaseede likhe gaye usski shaan mein
jo motiyon se chhiin ke sachchai le gaya
yaadon ki ek bheed mere saath chhod kar
kya jaane vo kahan meri tanhai le gaya
ab asad tumhare liye kuch nahin raha
galiyon ke saare sang toh saudai le gaya
ab toh khud apni saansein bhi lagti hain bojh si
umaron ka dev saari tavanai le gaya

No comments:

Post a Comment

wel come