Friday, June 12, 2009

rahat indori ki shayyiri

safar ki hadh hai vahan tak ke kuch nishan rahe
chale chalo ke jahan tak ye aasman rahe
ye kya uthaaye qadam aur aa gayi manzil
maza toh jab hai ke pairon mein kuch thakan rahe
vo shaks mujhko koi jaal_saaz lagata hai
tum ussko dost samajhte ho phir bhi dhyan rahe
mujhe zamiin ki geharayion ne daab liya
main chahta tha mere sar pe aasmaan rahe
ab apne beech maraasim nahin adavat hai
magar ye baat hamare hi darmiyan rahe
magar sitaron ki faslen uga saka na koi
meri zamiin pe kitne hi aasman rahe
vo ek sawal hai phir usska samana hoga
dua karo ke salamat meri zabaan rahe

No comments:

Post a Comment

wel come