Wednesday, June 17, 2009

roshan nanda ki shayyiri

baad muddat unhen dekh kar yun laga
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarazuon ke gul muskurane lage
jaise gulshan mein jaan-e-bahar aa gaya
tashna nazaren milin shokh nazaron se jab
mai barasane lagi jaam bharane laga
saaqiya aaj teri zarurat nahin
bin piye bin pilaaye khumar aa gaya
raat sone lagi subah hone lagi
shamma bujhane lagi dil machalne lage
waqt ki raushani mein nahaai hui
zindgi pe ajab sa nikhar aa gaya
har taraf mastiyaan har taraf dilkashi
muskurate dilon mein khushii hii khushi
kitna chaha magar phir bhi uth na saka
teri mehfil mein jo ek baar aa gaya

No comments:

Post a Comment

wel come