Friday, June 12, 2009

saud usmani ki shayyiri

ikhtalaaf ki saa'at

tumhari baat dil-e-sakht-jaan ko cheer gayi
kisi ne zakhm pe nashtar chala diya jaise
ragon mein khuun ki tapish barq ban ke daud gayi
charagh barf ke ghar mein jala diya jaise
kuch aisi baat nahin thi ke la_jawab thay hum
khamosh log kabhi itne be_zuban bhi na thay
sukhan ki dhaar baratni hamen bhi aati thi
tumhare paas jo nashtar thay kam yahan bhi na thay
vo jin ke zakhm tumhen daaimi khalish de den
vo teer kam na thay aur haath be_kamaan bhi na thay
magar khayal raha guzri saa'aton ka hamen
tumhare pyar ka jab humne aitbaar kiya
ye baat soch ke dil aur ho gaya ghayal
ke tum wwohi ho sada jis ko humne pyar kiya
kisi khayal-e-karam hi se dil sambhaal liya
agarche zehan ne dil ko hazar jhuthlaya
vo ek pal toh hamen dagmaga gaya lekin
phir apne aap ko dekha toh mu'tadil paaya
so humne sheesha-e-dil se gubhar saaf kiya
so humne ek hi pal mein tumhen muaaf kiya !

No comments:

Post a Comment

wel come