Friday, June 12, 2009

saud usmani ki shayyiri

abr malboos-e-aab tha jaise
chaand ko kuch hijaab tha jaise
kal achanak vo yun mila mujhko
koi pinhaan jawab tha jaise
safha safha safar tha yaadon ka
jalti bujhti kitaab tha jaise
adh-khili raat, un_kahe manzar
rasta neem_taab tha jaise
chandni mein tuloo' hota hua
raat ka aftab tha jaise
gehri tarekiyon mein behta hua
ek roshan gulab tha jaise
raat bhar mere aariz-o-lab par
bosa-e-mahtab tha jaise
uss ki awaaz neem-khwabeeda
phool saa zeir-e-aab tha jaise
soa ke uttha toh meri aankhon mein
usski aankhon ka khwab tha jaise

No comments:

Post a Comment

wel come