Wednesday, June 17, 2009

shadab lahori ki shayyiri

huzuur aap ka bhi ehataram karta chalun
idhar se guzara tha socha salaam karta chalun
nigaah-e-dil ki aakhiri yahiitamnna hai
tumhari zulfon ke saaye mein shaam karta chalun
unhen ye zid ki mujhe dekh kar kisi ko na dekh
mera ye shauq ki sab se salam karata chalun
ye mere khwabon ki duniya nahin, sahi lekin
ab aa gaya hun toh do din kayam karata chalun
tumhare husn se jaage tamaam hangamien
main do hi lafzon mein qissa tamaam karata chalun
mere kalam ki 'shadab' saadgi achchhi
avaam sun ke maze len main naam karta chalun

No comments:

Post a Comment

wel come