Wednesday, June 17, 2009

shan ul haq haqi ki shayyiri

nazar se justju bekaar nikali
khud apne aap se do-char nikali
kirad ko thi ye khush_fehmi ki dar hai
pas-e-diwaar bhi diwaar nikali
mujhe hasrat thi jis taab-e-sukhan ki
vahi shai iss ki bhi dar_kaar nikali
chhuta aakhir ko duniya se toh dekha
mohbbat hi gale ka haar nikali
nigaahen jhuk gayiin jab khud_pasandi
barhna barasar-e-darbaar nikali
nihaal-e-fiqr ki shaakhen namudaar
qalam hokar bhi kya gul_naar nikali
bhalaa hota hai kya kehane se 'haqi'
chalo kuch khvaahish-e-izhaar nikali

No comments:

Post a Comment

wel come