Tuesday, June 16, 2009

shevan bijnauri ki shayyiri

chandni raat mein chand ke saamne
rukh se parda hatana gazab ho gaya
chandni chhup gayi chand sharma gaya
aap ka muskurana gazab ho gaya
dil ki dhadakan meri tez hone lagi
raat aankhon mein kaanten chubhone lagi
wasl ki raat mein baat hi baat mein
yun tera ruuth jaana gazab ho gaya
jhuum kar kaali kaali ghata jab uthi
raat apni toh karavat badalte kati
kuch toh mausam ne bechaiin rakha hamen
kuch tera yaad aana gazab ho gaya
apne hisse mein tufaan ki taqadiir thi
zindgiiapani maujon ki zanjiir thii
duub jaane ka apne hamen gham na tha
usska saahil pe aana gazab ho gaya

No comments:

Post a Comment

wel come