Friday, June 12, 2009

syed irshad qamar ki shayyiri

nigahon ke talatum mein samandar duub jaate hain
barasti hain yeh aankhein toh manzar duub jaate hain
machalti lehar ne yeh raaz bhi samjha diya mujhko
bahot se log sahil pe bhi aa kar aksar duub jaate hain
kabhi aisa bhi hota hai ke ik diwaar dhaane se
sahara tuut jata hai kai ghar duub jaate hain
muhbbat haar bhi jaaye zamane ki nigahon mein
to ashkon mein adawat ke paimbar duub jaate hain
qamar rah-e-mulamat pe raho sabat qadam aakhir
innhi rahon mein tohmat ke shanawar duub jaate hain


No comments:

Post a Comment

wel come