Sunday, June 14, 2009

unknown

barson ke baad dekha, ek shakhs filruba sa
ab zehen mein nahin hai, par naam tha bhala sa
abru khiche khiche se, aankhein jhuki jhuki si
baatein ruki ruki si, lehja thaka thaka sa
alfaaz thay ke jugnu, awaaz ke safar mein
ban jaaye jangalon mein jaise ke rasta sa
khwabon mein khwab usske, yaadon mein yaad usski
neendon mein ghul gaya ho jaise ke rat-jaga sa
pehle bhi zindagi mein, kitne hi log aaye
woh har tarha se lekin, auron se tha juda sa
agli muhbboton ne, woh na-muradiyan di
taaza rafaqaton se, dil tha dara dara sa
kuch yeh ke muddaton se, hum bhi nahi thay roye
kuch zeher mein bujha tha, ahbaab ka dilasa
ab sach kahen toh yaaro, humko khabar nahin thi
ban jaayega qaymat, ek waaqiya zara sa
tever thay berukhi ke, andaaz dosti ke
woh ajnabi tha lekin, lagta tha aashna sa

No comments:

Post a Comment

wel come