Sunday, June 14, 2009

unknown

yahi waffa ka sila hai toh koi baat nahi
yeh dard tumne diya hai toh koi baat nahi
yahi bohot hai ke tum dekhte ho saahil se
safeena duub raha hai toh koi baat nahi
rakha tha aashiyana-e-dil mein chuppa kar tumko
vo ghar tumne chod diya hai toh koi baat nahi
tumhi ne aaiina-e-dil mera banaya tha
tumhi ne tod diya hai toh koi baat nahi
kiski majaal kahe koi mujhko deewana
agar yeh tumne kaha hai toh koi baat nahi

No comments:

Post a Comment

wel come