Saturday, June 13, 2009

unknown

jisse naaz sheesha-e-dil pe hai, usse shayad iss ki khabar nahi
ke ye patharon ka dayyar hai, yahan koi aaiinagar nahi
vo musafir-e-shab-e-zeest hun, ke kisi ki mujhpe nazar nahi
mere raaste ki sahar toh hai, mere raste mein sahar nahi
mere saath saath ravaa'n toh hai, koi sayya sa kisi yaad ka
hai wohi shareek-e-safar mera, jo mera shariik-e-safar nahi
gham-e-dil tera gham-e-dil sahi, isse kar tu nazar-e-gham-e-jahan
wo charagh koi charagh hai, jo charagh-e-raah-e-guzar nahi
ye shamim-e-ishq ki be_dili, ye hayat-e-fan ki udasiyan
mere shehr-e-gham mein hai kaun si, wo gali jo khak basar nahi
main kisi ke husn ki dilkashi, jo bayan karun toh bhi kis tarah
ke nazar ke paas zabaan nahi, to zabaan ke paas nazar nahi
ye dayyar-e-ghaflat-e-shauq hai, na hamare saath chale koi
ke guzar rahen hain wahan se hum, jahan khud hamara guzar nahi
na hi ghuncha-e-dil khila, na mili hayyat ko roshani
ye sehar toh aur kisi ki hai, ye sehar hamari sehar nahi

No comments:

Post a Comment

wel come