Sunday, June 14, 2009

unknown

kaati hai gham ki raat badhe ehtaram se
aksar bujha liya hai charagon ko sham se
roshan hai apni bazm aur iss ehtamaam se
kuch dil bhi jal rahe hai charagon ke naam se
muddat hui hai khoon-e-tamanna kiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil ke jaam se
subah-e-bahar humko bulati rahi magar
hum khelte rahe kisi zulfon ki sham se
har saans par hai maut ka pehra laga hua
ahista aaye hayaat guzar iss makaam se
kaati tamaam umar fareb-e-bahar mein
kante samet'te rahe pholon ke naam se
ye aur baat hai ke 'ghazal' hum ne sun ke
az ussne di hai hamen har makaam se

No comments:

Post a Comment

wel come