Tuesday, June 23, 2009

unknown

hum raat bohat roaye bohot aah-o-fughan ki
dil dard se bojhal ho toh phir neend kahan ki
sar zanoo pe rakhe huye kya soch rahi ho
kuch baatein samajhti ho mohabbat zadgaan ki ?
tum meri taraf dekh kar chup ho si gayin thin
woh sa'at-e-khush waqt nishat-e-guzraan ki
ik din yeh samajhte thay ke payaam-e-tamanna
ik raat hai mahtaab ke ayyam-e-jawan ki
ab aur hi auqat hai aye jaan-e-tamanna
hum nalah-kushan, begunhan, gham zadgaan ki
iss ghar ki khuli chhat pe chamakte huye taaron
kehte ho kabhi baat wahan ja ke yahan ki ?
bargashta hua humse, yeh mahtaab toh pyaro !
bas baat suni, rah chala kehkashaan ki
allah kare 'meer' ka jannat mein makan ho
marhoom ne baat hamari hi bayaan ki
Pedhte hain shab-o-roz uss shaks ki ghazalein
ghazlein hain hakayaat hain hum dil zadgaan ki
tum charkh-e-chaharam ke sitare huye logo !
taraaj karo zindagiyan ehl-e-jahan ki
achcha hamen bante huye, mit'te huye dekho
hum mauj-e-guraizan hi sahi aab-e-rawan ki
insha se milo, iss se na rokenge, vo lekin
uss se yeh mulaqaat nikali hai kahan ki ?
mashoor hai har bazm mein uss shaks ka sauda
baatein hain bohat shehr mein badnaam miyan ki
aye dosto aye dosto ! aye dard naseebo !
galiyon mein chalo sair karein shehr-e-buutan ki
hum jaayen kisi samt, kisi chok pe thehren
kahiyo na koi baat kisi sood-o-zayan ki
insha ki ghazal sun lo, peh ranjoor na hona
deewana hai deewane ne ik baat bayaan ki
hota hai yahi ishq mein hanjaar sabhi ka
baatein yehi dekhi hain mohabbat zadgaan ki

No comments:

Post a Comment

wel come