Thursday, June 18, 2009

unknown

meri aankhon ke samandar mein jalan kaisi hai
aaj phir dil ko tadpne ki lagan kaisi hai
ab kisi chhat pe charaghon ki roshni bhi nahin
ab tere shehr ki galiyon mein ghhutan kaisi hai
barf ke roop mein dhal jaayenge saare rishte
mujhse pouchho ke mohbbat ki aggan kaisi hai
main tere wasal ki khwahish ko na marne dunga
mosam_e_hijr ke lehje mein thakan kaisi hai
regzaaron main jo bunti rahi kaanton ki rida
usski majboor si aankhon main kiran kaisi hai
mujhe masoom si ladki pe taras aata hai
usse dekho toh mohbbat mein magan kaisi hai

No comments:

Post a Comment

wel come