Sunday, June 14, 2009

unknown

kyon parayi aag mein khud ko jalayen log..?
kyon mere zakhmon par marham lagayen log..?
khud hi main uktaa gaya hun zindagi se ab
phir kis munh se den mujhko duaayen log...?
duube huye hain dariya-e-tammana mein sab
mujhko thaamen ya khud ko bachayen log..?
main kya ke ek aag mein jhulsaa hua gulaab
kyon mujhko apne gharon mein sajayen log..?
gulshan mein kaanton ka kadardaan hai kaun..?
kaise mujhko apne seene se lagayen log...?
sajaa karti hain mehfilen khushi ke nagmon se
main shayar-e-dard mujhe kyon bulayen log...?
na sunaa kisi ko meri daastan ae gulbadan...
kahin sab ye mere haq mein na ho jayen log...?
"dard" na tera tha koi , na tu kisi ka tha....
phir kyon teri laash par aansu bahayen log...?

No comments:

Post a Comment

wel come