Sunday, June 14, 2009

unknown

hai maut ki, zindgi sawari
qudrat ki ada hai yeh bhi pyari
jeena bhi hai jabar ek tarah
marna bhi nahi hai ikhtiyari
gham aap hi ke diye huye hai
kijiyen na ab aap gham gusari
ab tum bhi na kar sako darman
dil par woh laga hai zakhm kari
har baat ka aap ki, yaqeen hai
kehte hai isse khush aitbaari
har baat hai aap ki ganwara
ek baat jo maan lo hamari
sab nach rahe hai be mahaja
parde mein yeh kaun hai madari
memon woh hum nashin hai lekin
jati nahi hai dil ki be qaraari

No comments:

Post a Comment

wel come