Tuesday, June 23, 2009

unknown

yun maatmi se libaas mein koi aah-o-fughan hai aaj bhi
jaise chahsm-e-tar mein khaab koi pareshan hai aaj bhi
main zindgi ki raah-guzar pe dar-badar hun iss liye
ke mohbbaton ke shehr mein dil be_makan hai aaj bhi
teri aarzu hai bohat magar meri pohnch nahi hai iss qadar
meri khaahishon ke waaste tu asmaan hai aaj bhi
main tauheed ke har hisaab se waise toh musalmaan hun
par tujhe pujane ki baat hai, toh dil be_imaan hai aaj bhi
teri anzuman tera har karam, teri chahatein toh chhin gayi
magar dard jo mera nasiib bana vo meharban hai aaj bhi
teri aazyeton ka sawal hai toh mujhe kal bhi zabt pe naaz tha
tujhe kosne ki baat hai toh dil be'zuban hai aaj bhi
kabhi dard hadh se badha bhi toh main teri hadh se badha nahi
meri toh saans ki tasbiiyon mein ik tu hi rawaan hai aaj bhi
so baadlon ke silsile meri chhat pe baras kar chale gaye
par jala jala dhuwan dhuwan mera aashyan hai aaj bhi
mujhe kal mile thay kuch gulaab jo tere liye ye keh gaye
Ke tere intzaar mein sogvaar gulshan ka samaan hai aaj bhi

No comments:

Post a Comment

wel come