Saturday, June 13, 2009

unknown

chalo ek baar phir se ajnabi bun jaayen hum dono
na tum meri taraf dekho ghalat andaaz nazron se
na mere dil ki dhadkan ladkadaye meri baaton se
na zaahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se
tumhen jo koi anjuman rokti hai pesh qadmi se
mujhe bhi log kehte hain ke yeh jalwe paraye hain
mere humraah bhi ruswaiyan hain mere maazi ki
tumhare saath bhi guzrei hui raaton ke saaye hain
taaruff rog ho jaaye toh usska bhulna behtar
taalluq bojh ban jaaye toh usska todna achcha
woh afsana jisse anjaam tak lana na ho mumkin
usse ek khoobsurat mod de kar chodna achcha
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono . . .

No comments:

Post a Comment

wel come