Sunday, June 14, 2009

unknown

gaye mausmon mein jo khilte thay gulabon ki tarah
dil pe utarenge wahi khwab azzabon ki tarah
raakh ke dher [e ab reit basar karni hai
jal chuke hain mere kheme, mere khwabon ki tarah
vo samandar hai toh phir reh ke shadaab kare
tishnagi kyun mujhe deta hai saraabon ki tarah
yaad toh hongi vo baaten tujhe ab bhi lekin
kone mein rakhi hui bandh kitabon ki tarah
kaun jaane ke naye saal mein tu kisko padhe
tera mayaar badalta hai nisabon ki tarah
hizr ki shab, meri tanhai pe dastak degi
teri khushbu, mere khoye huye khwabon ki tarah

No comments:

Post a Comment

wel come