Sunday, June 14, 2009

unknown

udas aankhon se aansu nahin nikalte hain
yeh motiyon ki tarah seepiyon mein palte hain
ghane dhuwein mein farishte bhi aankh malte hain
tamam raat khajooron ke ped jalte hain
main shahra nahi raaste ka patthar hun
yahan sawaar bhi paidal utar ke chalte hain
unnhen kabhi na batana main unnki ankhon mein hun
woh log phool samjh ke mujhe masalte hain
kai sitaron ko main janta hun
kahin bhi jaaon mere saath saath chalte hain
yeh ek ped hai aa iss se mil ke roa le hum
yahan se tere mere raaste badalte hain~!!

No comments:

Post a Comment

wel come