Thursday, June 18, 2009

unknown

kachi diwar hun thokar na lagana mujhko
apni nazron mein basa kar na girana mujhko
tumko aankhon mein tasvvur ki tarha rakhta hun
dil mein dhadkhan ki taarha tum bhi basana mujhko
baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein
main samjh jaaunga nazron se batana mujhko
vaada utna hi karo jitna nibha sakte ho
khwab poora jo na ho woh na dikhana mujhko
apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena
main toh aashiq hun, diwana na banana mujhko

No comments:

Post a Comment

wel come