Tuesday, June 23, 2009

unknown

yahi nahin koi tufan meri talash mein hai
ke mausam-e-gham-e-jaanan meri talash mein hai
wisaal ruut hai magar dil ko aisa lagta hai
sitara-e-shab-e-hizraan meri talash mein hai
main faisle ke waqt e guzar chuka hun magar
kisi ka deeda-e-hairan meri talaash mein hai
yeh haqiin si aasudgi bataati hai
ek qariya-e-viran meri talash mein hai
main teergi mein mohbbat ki kahani hun
koi charag sa unwaan meri talash mein hai
ye kaisa khaab tha dhadka sa lag gaya dil ko
ke ek shaks pareshan meri talash mein hai

No comments:

Post a Comment

wel come