Friday, June 12, 2009

unknown

ye kya sitam hai ke ehsas-e-dard bhi kam hai
shab-e-firaaq sitaaron mein roshni kam hai
ye kaisi mauj-e-karam thi nigah-e-saaqi mein
ke usske baad se tufan-e-tishnagi kam hai
qariib-o-duur se aati hai aap ki aavaaz
kabhi bahut hai gham-e-justju, kabhi kam hai
shauur-e-ishq ab aaya hai apni manzil par
huzur-e-husn tamanna-e-bekhudi kam hai
tamaam umar tera intzaar kar lenge
magar ye ranj rahega ke zindagi kam hai
uruuj-e-mah ko insan samajh gaya lekin
hunuz azmat-e-insan se aagahi kam hai
na thay bahar-e-chaman ham magar ye sunte hain
hamare baad gulon mein shaguftagi kam hai
na sath dengi ye dam todti hui sham’men
naye chirag jalaao ke roshni kam hai

No comments:

Post a Comment

wel come