Sunday, June 14, 2009

unknown

mana ke ab ke shayad tabiyat badal gayi
kaise kahen ke usski mohbbat badal gayi
be-sakhta charag ko maine bujha diya
tarekhiyon se meri adawat badal gayi
aayi bahar toh sab chehre utar gaye
lagta hai mere shehr ki aadat badal gayi
mausam ki dil-kashi ka shayad sabab tha woh
woh kya badla ke har ruut badal gayi
kab khatam hua hai yahan imtihan mera
itna zaroor hai ke vehshat badal gayi
palkon mein chupa le ashkon ko ab
ke barish mein bhiigne ki riwayat badal gayi

No comments:

Post a Comment

wel come