Sunday, June 14, 2009

unknown

aag ho toh jalne mein der kitni lagati hai
barf ke pighalne main der kitni lagati hai
chahe koi ruk jaaye chahe koi reh jaaye
qaafilon ko chalne mein der kitni lagati hai
chahe koi jaisa bhi hamsafar ho sadiyon se
raasta badalne mein der kitni lagati hai
ye toh waqt ke bas mein hai ke kitni mohalat de
varna bakht dhakne mein der kitni lagati hai
mom ka badan lekar dhuup mein nikal aana
aur phir pighalne mein der kitni lagati hai
soch ki zamiinon mein raaste juda hon toh
duur ja nikalne mein der kitni lagati hai

No comments:

Post a Comment

wel come