Tuesday, June 23, 2009

unknown

jis din suraj ki pehli kiran
utri thi jami par uss din se
main tujhse muhabat karta hun
mera pyar nayi koi baat nahi
mera par tha sadio pehle bhi
jo tujhse kaha hai aaj wahi
ikraar tha sadio pehle bhi
jab sabse pehla phool koi
mehka tha chaman mein uss din se
main tujhse muhabat karta hun

main arsh ka rehne wala tha
ab duniya mein aabaad hun main
janat se jo nikla tere liye
uss aadam ki aulaad hun main
do dil jab do insano ke
milkar dhadke thay, uss din se
main tujhse muhabat karta hun

ye duniya jab tak baki hai
main tera saath na chodunga
tere aanchal ke ek jhonke se
rukh toofano ke modunga
jis din se waffa ki rasam chali
ae ! jaane tamana us din se
main tujhse muhabat karta hun

No comments:

Post a Comment

wel come