Tuesday, June 23, 2009

unknown

hazar dost mere, wajah-e-malal puchenge
sabab toh sirf tumhi ho, main kya kahunga tumhen
meri pasand, mere naam par na harf aaye
bohat hasiin, bohot bewaffa kahunga tumhen
abhi se zehan mein rakhna nazakatein meri
ke har nigah-e-karam par khaffa kahunga tumhen
qasam sharafat-e-fan ki ke ab ghazal mein kabhi
tumhara naam na lunga, saba kahunga tumhen

No comments:

Post a Comment

wel come