Friday, June 12, 2009

unknown

sar-e-taq-e-jaan na chirag hai, pas-e-bam-e-shab na sahar koi
ujab ek arsa-e-daraz hai, na guman hai na khabar koi
nahin aab toh koi malal bhi, kisi vapsi ka khayal bhi
gham-e-bekasi ne mita diya, mere dil mein tha bhi agar koi
tujhe kya khabar ke raat bhar, tujhe dekh paane ko ek nazar
raha saath chand ke muntazar, teri khidkiyon ke udhar koi
sar-e-shakh-e-jaan tere naam ka, ujab ek taza gulab tha
jise aandhiyon se khatar na tha, jise tha khizan ka na darr koi
teri berukhi ke dayyar mein, ghani tergi ke hisar mein
jale kis tarah se chirag-e-jaan, kare kis taraf ko safar koi
kate waqt chahe aazab mein, kisi khwab mein ye sarab mein
jo nazar se duur nikal gaya, usse yaad karta hai har koi
sar-e-bazm jitne chirag thay, woh tamam ramz shanas thay
teri chshm-e-khush ke lihaaz se, nahin boolta tha magar koi

No comments:

Post a Comment

wel come